Hum Ko Tumhare Ishq Ne - Ek Musafir Ek Hasina Lyrics


Hum Ko Tumhare Ishq Ne

aa aa aa aa...
hamko tumhaare ishq ne kyaa kyaa banaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa
hamko tumhaare ishq ne kyaa-kyaa banaa diyaa

kaashi se kuchh Gharaz thi na qaabe se vaastaa
ham DhooNDhne chale the mohabbat kaa raastaa..
dekhaa tumhaare dar ko to sar ko jhukaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

dil ki lagi ne kar diyaa donoN ko beqaraar
dohraa ke daastaan-e-mohabbat phir ek baar
majnooN hamen aur aapko lailaa banaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

nikle teri talaash mein aur khud hi kho gaye
kuchh ban paDi na hamse to deevaane ho gaye..
deevaangi mein phir teraa koochaa dikhaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

jalvoN ki bheekh phenkne vaale ki khair ho
pardaa haTaake dekhne vaale ki khair ho..
ban ke bhikhaari ishq ne daaman bichhaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa
hamko tumhaare ishq ne kyaa kyaa banaa diyaa

aa aa aa aa aa...