Khoya Khoya Chand Lyrics
Starring | Shiney Ahuja, Soha Ali Khan, Rajat Kapoor, Sushmita Mukherjee |
---|---|
Music | Shantanu Moitra |
Director | Sudhir Mishra |
Producer | Prakash Jha |
Year | 2007 |
Rating |
Khoya Khoya Chand - Khoya Khoya Chand Lyrics
Khoya Khoya Chand
aaj shab jo chaand ne hai roothane ki thaan li
gardishon mein hai sitaare baat hamane maan li
andheri syaah jindagi ko sujhati nahi gali
ke aaj haath thaamlo ik haath ki kami ?khali
kyun khoye khoye chaand ki firaaq mein talaash mein udaas hai dil
kyun apane aap se khafa khafa jara jaraasa naaraaj hai dil
yeh manjilein bhi khudahi tay kare, yeh faasalein bhi khudhi tay kare
kyu toh rasto pe phir seham seham sanbhal sanbhal ke chalta hai ye dil
kyun khoye khoye chaand ki firaaq mein talaash mein udaas hai dil
jindagi sawaalon ke jawaab dhudnein chali
jawaab mein sawaalon ki ik lambi si ladi mili
sawaal hi sawaal hain sujhti nahi gali
ke aaj haath thaamlo ik haath ki kami ?khali
ji mein aata hai murda sitaare noch loon
idhar bhi noch loon, udhar bhi noch loon
ek ? jikr kya
main saare noch loon
main saare noch loon
idhar bhi noch loon, udhar bhi noch loon
sitaare noch loon main saare noch loon
idhar bhi noch loon, udhar bhi noch loon
sitaare noch loon main saare noch loon
kyun tu aaj itna vaishi hai, mijaaj mein majaaj hai ai gam-e-dil
kyun apane aap se khafa khafa jara jaraasa naaraaj hai dil
yeh manjilein bhi khudahi tay kare, yeh faasalein bhi khudhi tay kare
kyu toh rasto pe phir seham seham sanbhal sanbhal ke chalta hai ye dil
kyun khoye khoye chaand ki firaaq mein talaash mein udaas hai dil
dil ko samajhaana keh do kya aasaan hai
dil ko fitrat se sunlo na beimaan hai
yeh khush nahi jo mila, bas maangata hi hai chala
jaanata hai har lagi ka dard hi hai bas ik sila
jab kabhi yeh dil laga dard hi hamein mila
dil ki har lagi ka sunlo dard hi hai ik sila
jab kabhi yeh dil laga dard hi hamein mila
dil ki har lagi ka sunlo dard hi hai ik sila
kyun naye naye se dard ki firaaq mein talaash mein udaas hai dil
(kyun apane aap se khafa khafa jara jaraasa naaraaj hai dil
yeh manjilein bhi khudahi tay kare, yeh faasalein bhi khudhi tay kare
kyu toh rasto pe phir seham seham sanbhal sanbhal ke chalta hai ye dil
kyun khoye khoye chaand ki firaaq mein talaash mein udaas hai dil) * 2