Aye Khuda - Murder 2 Lyrics


Aye Khuda

Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khataayein fitrat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khataayein firat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Aye khuda, aye khuda ..

Itni khataayein tu le kar chala hai
Daulat hi jaise tera ab khuda
Har pal bitaaye jaise tu hawa hai
Gunah ke saaye mein chalta raha
Samandar sa beh kar tu chalta hi gaya
Teri marzi poori ki, tune har dafaa
Tu hi tera mujrim bandeya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

Kyun judta iss jahaan se tu
Ik din yeh guzar hi jaayega
Kitna bhi samayet le yahaan
Mukti se fisal hi jaayega

Har shaksh hai dhool se bana
Aur phir uss mein hi ja mila
Yeh haqeeqat hai tu jaan le
Kyun sacch se munh hai pherta

Chaahe jo bhi hasrat poori kar le
Rukeygi na fitrat yeh samajh le
Mitt jaayegi teri hassti

Barh na paayega yeh dil bandeya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

Agar tu soche tu hai gira
Mere haath ko thaam uth zara
Tere dil ke dar pe hoon khada
Mujhko apna le tu zara

Tu kahe tu hai saaye se girah
Teri raahon ka main noor hoon
Tere gunah ko khud pe le liya
Meri nazaron mein bekasoor tu

Aisa koi manzar tu dikhla de
Mujhe koi shaksh se milwa de
Aise koi dil se tu sunwa de
Ke zakhm koi usse na milaa
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

1 Comments