Nagin Lyrics

Year 1940
Rating

Man-dole-mera - Nagin Lyrics


Man-dole-mera

man Dole meraa tan Dole
mere dil kaa gayaa karaar re
ye kaun bajaaye baa.nsuriyaa

madhur madhur sapano.n me.n dekhii maine raah navelii
chho.D chalii mai.n laaj kaa paharaa jaane kahaa.n akelii
chalii re mai.n jaane kahaa.n akelii
ras ghole dhun yuu.N bole
jaise Tha.nDii pa.De phuhaar re
ye kaun bajaaye baa.nsuriyaa

man Dole meraa tan Dole ...

kadam kadam par ra.ng sunaharaa ye kisane bikharaayaa
naagan kaa man bas karane ye kaun saperaa aayaa
na jaane kaun saperaa aayaa
pag Dole dil yuu.N bole
teraa hoke rahaa shikaar re
ye kaun bajaaye baa.nsuriyaa

man Dole meraa tan Dole
mere dil kaa gayaa karaar re
ye kaun bajaaye baa.nsuriyaa

5 Comments