Starring | Dev Anand, Nutan, Om Prakash, Rashid Khan |
---|---|
Music | Burman S D |
Year | 1963 |
Dev : Chaahe Aasamaan Tuut Pa.De
Chaahe Dharatii Phuut Jaaye
Chaahe Hastii Hi Kyo.N Na Mit Jaaye
Phir Bhii Mai.N ...
Nutan: Phir Bhii Mai.N?
Rafii : Tere Ghar Ke Saamane
Ik Ghar Banaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Duniyaa Basaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Ik Ghar Banaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Lataa : Ghar Kaa Banaanaa Koii, Aasaan Kaam Nahii.N
Duniyaa Basaanaa Koii, Aasaan Kaam Nahii.N
Rafii : Dil Me.N Vafaaye.N Ho.N To, Tuufaa.N Kinaaraa Hai
Bijalii Hamaare Liye, Pyaar Kaa Ishaaraa Hai
Tan Man Lutaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Duniyaa Basaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Ik Ghar Banaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Lataa : Kahate Hai.N Pyaar Jise, Dariyaa Hai Aag Kaa
Yaa Phir Nashaa Hai Koii, Jiivan Ke Raag Kaa
Rafii : Dil Me.N Jo Pyaar Ho To, Aag Bhii Phuul Hai
Sachchii Lagan Jo Ho To, Parbat Bhii Dhuul Hai
Taare Sajaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Duniyaa Basaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Ik Ghar Banaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Lataa : Kaa.Nto.N Bhare Hai.N Lekin, Chaahat Ke Raaste
Tum Kyaa Karoge Dekhe.N, Ulafat Ke Vaaste
Rafii : Ulafat Me Taaz Chhuute, Ye Bhii Tumhe.N Yaad Hoga
Ulafat Me Taaz Bane, Ye Bhii Tumhe.N Yaad Hoga
Mai.N Bhii Kuchh Banaauu.Ngaa
Lataa : Huu.N
Rafii : Tere Ghar Ke Saamane
Lataa : Dekhe.N
Rafii : Duniyaa Basaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane
Ik Ghar Banaauu.Ngaa, Tere Ghar Ke Saamane