Arth Lyrics

Year 2000
Rating

Too Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Rah J - Arth Lyrics


Too Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Rah J

too nahin to zindagi meiN aur kya reh jaayega
door tak tanhaaeeyoN ka silsila reh jaayega

dard ki saari tahe aur saare guzre haadse
sab dhooaN ho jaayenge ik faakeya reh jaayega

yuN bhee hoga wo muJhe dil se bhula dega maGar
ye bhee hoga khud usee meiN ik khala reh jaayega

daayre inkaar ke iqraar kee sargoshiyaaN
ye agar TooTe kabhee to faaslaa reh jaayega

5 Comments