Starring | Anwar, Balraj Sahni, Durga Khote, Jagdeep, Nanda, Om Prakash, Pandari Bhai, Shyama |
---|---|
Music | Krishnan , Panju |
Director | Chitragupta |
Producer | AVM |
Year | 1957 |
Chal Ud Ja Re Panchhi Ke Ab Yeh Desh Hua Begaana
Bhool Ja Ab Voh Mast Hava Voh Udna Daaali Daali
Jag Ki Aankh Ka Kaanta Ban Gayi Chaal Teri Matwali
Kaun Bhala Us Baag Ko Poochhe Ho Na Jiska Maali
Teri Kismat Mein Likha Hai Jeete Ji Mar Jaana
Chal Ud Ja Re Panchhi ...
Khatam Hue Din Us Daali Ke Jis Par Tera Basera Tha
Aaj Yahan Aur Kal Wahan Yeh Jogi Wala Phera Tha
Sadaa Raha Hai Is Duniya Mein Kiska Aab-O-Dana
Chal Ud Ja Re Panchhi ...
Toone Tinka Tinka Chunkar Nagri Ek Basaai
Baarish Mein Teri Bheegi Aankhein Dhoop Mein Garmi Khai
Gham Na Kar Jo Mehnat Tere Koi Kaam Na Aayi
Achha Hai Kuchh Le Jaane Se Dekar Hi Kuchh Jaana
Chal Ud Ja Re Panchhi ...
Rote Hain Woh Pankh Pakheru Saath Tere Jo Khele
Jinke Saath Lagaye Toone Armaanon Ke Mele
Bheegi Ankhiyon Se Hi Unki Aaj Duaen Le Le
Kisko Pata Ab Is Nagri Mein Kab Ho Tera Aana
Chal Ud Ja Re Panchhi ...