Tumse Milke Dil Ka Jo Haa - Main Hoon Na Lyrics

Tumse Milke Dil Ka Jo Haa

Aftab, Hashim: ishq jaise hai ek aaNdhi, ishq hai ek toofaaN
ishq ke aage bebas hai, duniyaa mein har ilzaa
ishq mein sab deevaane hain, ishq mein sab hairaaN
ishq mein sab kuchh mushkil hai, ishq mein sab aasaaN
dekho pyaare, ye nazaare, ye deevaane, ye parvaane
hai ishq mein kaise gum

Sonu: haay, ( tumse milke dil kaa hai jo haal kyaa kahein
ho gayaa hai kaisaa ye kamaal kyaa kahein ) -2
Aftab, Hashim: ( dum taaraa dum taaraa dum taaraa dum taaraa
dum taaraa dum taaraa, dum daa
dum taaraa dum taaraa dum taaraa dum taaraa
dum taaraa dum taaraa, dum ) -2

Sonu: dil to hai ek raahi jaanaa, dil ki tum manzil ho
dil to hai ek kashti jaanaa, jiskaa tum saahil ho
dil na phir kuchh maaNge jaanaa, tum agar haasil ho
dil to hai meraa tanhaa jaanaa, aao tum mahfil ho
Aftab, Hashim: ishq se hain saari KhushiyaaN, ishq se barbaadi
ishq hai paabandi lekin, ishq hi aazaadi
ishq ki duniyaa mein yaaroo KhvaaboN ki aabaadi
kho gayaa vo jisko manzil ishq ne dikhlaa di
dekho pyaare, ye nazaare, ye deevaane, ye parvaane
hai ishq mein kaise gum

Sonu: haay, ( tumse milke dil kaa hai jo haal kyaa kahein
ho gayaa hai kaisaa ye kamaal kyaa kahein ) -2

Aftab, Hashim: dum taaraa dum taaraa dum taaraa dum taaraa
dum taaraa dum taaraa, dum daa
dum taaraa dum taaraa dum taaraa dum taaraa
dum taaraa dum taaraa, dum

Sonu: tumko poojaa hai, tumhaari hi ibaadat ki hai
hamne jab ki hai to phir aise mohabbat ki hai -2
dil meraa paagal hai jaanaa, isko tum bahlaa do
dil mein kyuN halchal hai jaanaa, mujhko tum samjhaa do
mahkaa jo aaNchal hai jaanaa, isko tum lahraa do
roop jo baadal hai jaanaa, mujhpe tum barsaa do
jaanaa le ke aayaa hai teraa ye deevaanaa
jaanaa tujhpe miT jaayegaa teraa ye parvaanaa
jaanaa mere dil mein kyaa hai, tune ye na jaanaa
jaanaa tujhko yaad aayegaa meraa ye afsaanaa
Aftab, Hashim:dekho pyaare, ye nazaare, ye deevaane, ye parvaane