Shirdi Wale Sai Baba
Verse 1
Aaaaa... Zamane ne kaha tooti hui tasweer banti hai Tere darbaar main bigdi hui taqdeer banti hai
Verse 2
Tareef teri nikli hai dil se Aayi hai lab pe ban ke qawaali Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Verse 3
Chorus: Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Verse 4
Lab pe duayen aakhon main aansoon Dil main umeedein par jholi khali Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Verse 5
Chorus: Dar pe sawali, aaya hai dar pe sawali
Verse 6
Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Verse 7
Chours: Ooo...
Verse 8
O mere sai deva tere sab naam lewa
Verse 9
Chours: O mere sai deva tere sab naam lewa
Verse 10
Khuda insaan saare sabhi, tujhko hain pyaare Sune fariyaad sabki, tujhe hai yaad sabki Bada ya koi chhota, nahi mayoos lauta Ameeron ka sahara, gareebon ka guzara Teri rahmat ka kissa bayan akbar kare kya Do din ki duniya, duniya hai gulshan Sab phool kaante, too sab ka mali
Verse 11
Chorus: Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Verse 12
Khuda ki shaan tujhme Dikhe bhagwaan tujhme
Verse 13
Chorus: Khuda ki shaan tujhme Dikhe bhagwaan tujhme
Verse 14
Tujhe sab maante hain Tera ghar jaante hain Chale aate hain daude Jo khush kismat hain thode Yeh har rahi ki manzil Yeh har kashti ka sahil Jise sab ne nikala Use toone sambhala
Verse 15
Chorus: Jise sab ne nikala Use toone sambhala
Verse 16
Too bichhdon ki milaye Bujhe deepak jalaye
Verse 17
Chorus: (Too bichhdon ki milaye Bujhe deepak jalaye) -2
Verse 18
Yeh gam ki raatain, raatain yeh kaali Inko banade id aur diwali
Verse 19
Chorus: Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Verse 20
Lab pe duayen aakhon main aansoon Dil main umeedein par jholi khali
Verse 21
Chorus: (Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali) -4