Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Jaane Ye Kya Ho Gaya

Script

Verse 1

sh: jaane ye kyaa ho gayaa, dil to jaise kho gayaa jaage jaage so gayaa, dekho na a: lage kyuN mujhe, ye samaa nayaa ye zamin nayee, aasmaaN nayaa duniyaa hi nayee lagti hai ho ho, o ho ho, o ho ho, aa haa haa jaane ye kyaa ho gayaa, dil to jaise kho gayaa jaage jaage so gayaa, dekho na sh: o..., lage kyuN mujhe, ye samaa nayaa ye zamin nayee, aasmaaN nayaa duniyaa hi nayee lagti hai a: duniyaa hi nayee lagti hai

Verse 2

a: ye saare phool koi baat mujhse kahte hain kyuN mujhe yuN lage sh: taare tumhaare aaNchal mein chhup ke rahte hain kyuN mujhe yuN lage chhaayee hai kaisi mere dil pe deevaangi, o o dekho na, dekho na, dekho na a: jaane kaisaa aalam hai, pighlaa saa mausam hai ang ang resham hai, dekho na sh: o..., lage kyuN mujhe, ye samaa nayaa ye zamin nayee, aasmaaN nayaa a: duniyaa hi nayee lagti hai

Verse 3

sh: Khushboo hai roshni mein, hai rang ravaaon mein kyuN mujhe yuN lage a: gaati hain kaliyaaN, geet unke hain fizaaon mein kyuN mujhe yuN lage raahon mein hai Khvaabon ki kaisi ye chaaNdni sh: dekho na, dekho na, dekho na a: jaane ham hain kahaaN sh: mili hamen hai yahaaN, sapnon ki vaadiyaaN a: dekho na sh: o..., lage kyuN mujhe, ye samaa nayaa a: ye zamin nayee, aasmaaN nayaa dono: duniyaa hi nayee lagti hai sh: jaane ye kyaa ho gayaa, dil to jaise kho gayaa jaage jaage so gayaa, dekho na