Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

O Dharti Tarse

Script

Verse 1

Richa: o.., dharti tarse ambar barse, rut aaye rut jaaye haay har mausam ki Khushboo chunke baaGhbaaN baaGh sajaaye ( baaGhoN ke har phool ko apnaa samjhe baaGhbaaN -2 har ghaDi kare rakhvaali, patti patti, Daali Daali sinche baaGhbaaN ) -2 baaGhbaaN rab hai baaGhbaaN -4

Verse 2

o.., madhuban ki bahaar le aaye mausam reete reete, haay mausam reete reete janam janam ki triShnaa bujh gayee.. birhaa ke kshan beete haay, birhaa ke kshan beete phir se sajaaye bhikhre apne sapne baaGhbaaN -2 Chorus: aa.. aa.. aa.. Richa: baaGhbaaN rab hai baaGhbaaN -3 baaGhbaaN rab hai rab hai baaGhbaaN

Verse 3

o.. ungali thaamke jin birhan ko, hamne dikhaayee raah maat pitaa ki unke man mein tanik nahin parvaah o ( aNsuan bhar nainoN se inko dekhe baaGhbaaN ) -2 Chorus: aa.. aa.. aa.. Richa: baaGhbaaN rab hai baaGhbaaN -4

Verse 4

o.., kisne dukh ki agni Daali, banjar ho gaye khet o.. hari bhari jeevan baGhiyaa se uDne lagi hai ret kyaa boyaa thaa aur kyaa kaaTaa, soche baaGhbaaN -2 Chorus: aa.. aa.. aa.. Richa: baaGhbaaN rab hai baaGhbaaN -3 baaGhbaaN rab hai rab hai baaGhbaaN

Verse 5

o.., yahi sochke saaNsein likh dee.., in phulan ke naam inki chhaNiyaa chhaNiyaa beete, umr ki Dhalti shaam gunche hardam hi muskaayen chaahe baaGhbaaN -2 har ghaDi kare rakhvaali, patti patti, Daali Daal sinche baaGhbaaN baaGhbaaN rab hai baaGhbaaN -2 baaGhbaaN rab hai rab hai rab hai, rab hai rab hai baaGhbaaN

Verse 6

vo sooraj hai laayee jisne dhoop aaNgan aaNgan mein kyuN hai akelepan kaa andheraa aaj usi ke daaman mein kyaa chaahaa thaa aur kyaa paayaa soche baaGhbaaN -2 Chorus: aa.. aa.. aa.. Richa: baaGhbaaN rab hai baaGhbaaN -4 baaGhbaaN -2