Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Ek School Banana Hai

Script

Verse 1

Chhote chhote pahiyon pe sapno ki cycle Udte chalenge aaj pedal'on ko maar kar hum, hum, hum Puchki si peeth pe pahaad jaise bag hai Kandhon se aaj unhe chalenge utaar kar hum, hum, hum

Verse 2

Aankhon se hamaari hume dekhne do Khud se hume bhi kujh seekhne do Humko jahaan manzoor ho wahin Tumhari duniya se badi door kahin Ek school banana hai, wahaan tum ko padhaana hai Jo bhool baithe ho woh yaad dilaana hai Ek school banana hai

Verse 3

Nanni munni mutthiyon mein nanna sa yeh dream hai Rakhte hain takiyon ke neeche jo sambhaal kar hum, hum, hum Baadalon se muskura ke haath milaate hai Aasmaan ki ore apni gendon ko uchhaal kar hum, hum, hum Aankhon se humaari zara dekh lo tum Hum se bhi kabhi kuch seekh lo tum Hum ko jahaan manzoor ho wahin Tumhaari duniya se badi door kahin Ek school banana hai, wahaan tum ko padhaana hai Jo bhool baithe ho woh yaad dilaana hai Ek school banana hai, wahaan tum ko padhaana hai Jo bhool baithe ho woh yaad dilaana hai Ek school banana hai, wahaan tum ko padhaana hai