Jab Deep Jale Aana
Verse 1
Jab deep jale aana, jab shaam dhhale aana Sandes milan ka bhool na jaana mera pyaar na bisraana Jab deep jale aana...
Verse 2
Nit saanjh sawere milte hain Unhein dekhke taare khilte hain Lete hain wada ek duje se kehte hain chale aana Jab deep jale aana
Verse 3
Ni Re Ga, Re Ga, Pa Ga Re Sa Sa Ni Pa Pa Ma, Re (Ga Pa Re Ga) , Sa Ni Sa Ga Pa Ma Pa Ni Re Ga, Re Ga, Ma Ga Re Sa Sa Ni Pa Pa Ma, Re Ga, Sa Ni Sa Ga Pa Ma Pa
Verse 4
Main palkan dagar buhaarunga Teri raah nihaarunga Meri preet ka kaajal tum apne naino mein male aana Jab deep jale aana...
Verse 5
Jahaan peheli baar mile the ham Jis jagaah se sang chale the ham Nadiya ke kinaare aaj ussi Ambua ke tale aana Jab deep jale aana...