Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Aye Mere Dil Kahin Aur Chal

Script

Verse 1

ai mere dil kahii.n aur chal Gam kii duniyaa se dil bhar gayaa Dhuu.NDh le ab koI ghar nayaa ai mere dil kahii.n aur chal

Verse 2

chal jahaa.N gam ke maare na ho.n jhuuThii aashaa ke taare na ho.n jhuuThii aashaa ke taare na ho.n in bahaaro.n se kyaa faayadaa jis me.n dil kii kalii jal gaI zaKm phir se haraa ho gayaa ai mere dil kahii.n aur chal

Verse 3

chaar aa.Nsuu koI ro diyaa pher ke mu.Nh koI chal diyaa pher ke mu.Nh koI chal diyaa luT rahaa thaa kisii kaa jahaa.N dekhatii rah gaI ye zamii.n chup rahaa beraham aasamaa.n ai mere dil kahii.n aur chal