Aankhon Mein Tumhari
Verse 1
shw: ishq ki badli chalti hai, sahraa mein lahar si uThti hai raat ke bujhte taaroN ki, aaNkhoN mein sahar si dikhti hai sha: ( aaNkhoN mein tumhaari do jahaaNoN kaa nashaa tum jo nahin to kyaa hai jeene kaa mazaa ) -2 baaNhoN mein na tum ho, aahoN mein na tum ho to jeenaa bevajah aao paas aao yuN na sharmaao ai mere hamnavaa aaNkhoN mein tumhaari do jahaaNoN kaa nashaa tum jo nahin to kyaa hai jeene kaa mazaa jab se tumhen dekhaa maine hain sapne javaaN javaaN tum jo nahin kuchh na kahin hai tumse hi ye jahaaN paas mere aa jaa saaNsoN mein samaa jaa tu Khushboo ki tarah dil mein to hamaare ho na ho Khudaa ki, ho tumhaari hai jagah shr: tujhe chaaNd kaa hai armaan sahi haasil karnaa aasaan nahin laakhoN taare pahraa na dein hai aisi koi raat nahin sha: pahli nazar mein hi sanam ye dil tumne le liyaa dekhaa mujhe bhoole se hi ye ehsaan kar diyaa chaaNd pe hai maanaa sitaaroN kaa pahraa magar ham chhoo lenge rooThe ye jahaaN bhi rooThe aasmaaN bhi na tumko chhoDenge aaNkhoN mein tumhaari do jahaaNoN kaa nashaa he.., tum jo nahin to kyaa hai jeene kaa mazaa aaNkhoN mein tumhaari do jahaaNoN kaa nashaa tum jo nahin to kyaa hai jeene kaa mazaa baaNhoN mein na tum ho, aahoN mein na tum ho to jeenaa bevajah aao paas aao yuN na sharmaao ai mere hamnavaa