Mera Kuchh Saamaan
Verse 1
Meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai
Verse 2
O o o ! Saavan ke kuchh bhiige bhiige din rakhe hai.n
Verse 3
Aur mere ek khat me.n lipatii raat pa.Dii hai
Verse 4
Vo raat bhulaa do, meraa vo saamaan lautaa do
Verse 5
Meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai
Verse 6
Patajha.D hai kuchh ... Hai naa ?
Verse 7
O ! Patajha.D me.n kuchh patto.n ke girane kii aahat
Verse 8
Kaano.n me.n ek baar pahan ke laut aai thii
Verse 9
Patajha.D kii vo shaakh abhii tak kaa.np rahii hai
Verse 10
Vo shaakh giraa do, meraa vo saamaan lautaa do
Verse 11
Ek akelii chhatarii me.n jab aadhe aadhe bhiig rahe the
Verse 12
Aadhe suukhe aadhe giile, sukhaa to mai.n le aayii thii
Verse 13
Giilaa man shaayad bistar ke paas pa.Daa ho !
Verse 14
Vo bhijavaa do, meraa vo saamaan lautaa do
Verse 15
Ek sau solaa chaa.nd ki raate.n ek tumhaare kaa.ndhe kaa til
Verse 16
Giilii me.nhadii ki khushabuu, jhuth-muuth ke shikave kuchh
Verse 17
Jhuuth-muuth ke vaade sab yaad karaa duu.N
Verse 18
Sab bhijavaa do, meraa vo saamaan lautaa do
Verse 19
Ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaauu.Ngii
Verse 20
Mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii
Verse 21
Mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii