Arzoo Ki Rahon Mein
Verse 1
--MALE-- Aarzoo ki raahon mein, dhadkanon ki baahon mein --FEMALE-- Aarzoo ki raahon mein, dhadkanon ki baahon mein --MALE-- Aao ghar banaaye hum --FEMALE-- Phir voh ghar sajaaye hum --MALE-- Apna pyaar main laaoon, apna roop tum laana - 2 --FEMALE-- Chhaon leke main aaoon, narm dhoop tum laana --MALE-- Aarzoo ki raahon mein, dhadkanon ki baahon mein --FEMALE-- Aao ghar banaaye hum, phir voh ghar sajaaye hum --MALE-- Apna pyaar main laaoon, apna roop tum laana --FEMALE-- Chhaon leke main aaoon, narm dhoop tum laana --MALE-- Aarzoo ki raahon mein --FEMALE-- Dhadkanon ki baahon mein Din ko sab hawaaon mein ho gulaab ki khushboo --MALE-- Raat aaye to maheke ek khwaab ka jadoo --FEMALE-- Haan, din ko sab hawaaon mein ho gulaab ki khushboo --MALE-- Raat aaye to maheke ek khwaab ka jadoo --FEMALE-- Raat leke main aaoon, aur khwaab tum laana - 2 --MALE-- Main hawaayein laaoonga, aur gulaab tum laana --FEMALE-- Aarzoo ki raahon mein --MALE-- Dhadkanon ki baahon mein Aasmaan zameen apne hum naye banaayenge --FEMALE-- Hum yakeen vafaaon ka marke bhi dilaayenge --MALE-- Ho, aasmaan zameen apne hum naye banaayenge --FEMALE-- Hum yakeen vafaaon ka marke bhi dilaayenge --MALE-- Aasmaan main laaoon, aur zameen tum laana - 2 --FEMALE-- Main vafaayein laaoongi, aur yakeen tum laana --MALE-- Aarzoo ki raahon mein, dhadkanon ki baahon mein --FEMALE-- Aao ghar banaaye hum, phir voh ghar sajaaye hum --MALE-- Apna pyaar main laaoon, apna roop tum laana - 2 --FEMALE-- Chhaon leke main aaoon, narm dhoop tum laana --MALE-- Aarzoo ki raahon mein --FEMALE-- Dhadkanon ki baahon mein