Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Man-dole-mera

Script

Verse 1

man Dole meraa tan Dole mere dil kaa gayaa karaar re ye kaun bajaaye baa.nsuriyaa

Verse 2

madhur madhur sapano.n me.n dekhii maine raah navelii chho.D chalii mai.n laaj kaa paharaa jaane kahaa.n akelii chalii re mai.n jaane kahaa.n akelii ras ghole dhun yuu.N bole jaise Tha.nDii pa.De phuhaar re ye kaun bajaaye baa.nsuriyaa

Verse 3

man Dole meraa tan Dole ...

Verse 4

kadam kadam par ra.ng sunaharaa ye kisane bikharaayaa naagan kaa man bas karane ye kaun saperaa aayaa na jaane kaun saperaa aayaa pag Dole dil yuu.N bole teraa hoke rahaa shikaar re ye kaun bajaaye baa.nsuriyaa

Verse 5

man Dole meraa tan Dole mere dil kaa gayaa karaar re ye kaun bajaaye baa.nsuriyaa