Faza Bhi Hai Jawan
Verse 1
Fizaa bhii hai javaa.n javaa.n, havaa bhii hai ravaa.n ravaa.n Sunaa rahaa hai ye samaa sunii sunii sii daastaa.n
Verse 2
Bujhii magar bujhii nahii.n, na jaane kaisii pyaas hai Qaraar dil se aaj bhii na duur hai na paas hai Ye khel dhuup chhaao.n kaa, ye parvate.n ye duuriyaa.n Sunaa rahaa hai ye samaa...
Verse 3
Har ek pal ko dhuu.ndhataa har ek pal chalaa gayaa Har ek pal phir aap kaa, har ek pal misaal kaa Har ek pal guzar gayaa, banaake dil pe ik nishaa.n Sunaa rahaa hai ye samaa...
Verse 4
Pukaar dekh duur, vo kaafile bahaar ke Bikhar gae hai.n ra.ng se, kisiike intazaar me.n Lahar lahar ke ho.nth par, vafaa kii hai.n kahaaniyaa.n Sunaa rahaa hai ye samaa...
Verse 5
Vohii gha.dii vohii pahar, vohii havaa vohii lahar Na_ii hai.n ma.nzile.n magar, vohii dagar vohii safar Nazar ga_ii jidhar jidhar, milii vohii nishaaniyaa.n Sunaa rahaa hai ye samaa...