Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Dharti Hai Pyari

Script

Verse 1

Dharti hai pyaari pyaari Ambar hai pyaara pyaara Par sab se pyaara hai pyaar hamaara Maange na mehn chaupaare Maangi na chaand sitaare Kaafi hai jeene ko bas pyaar hamaara Pyaar hai sajda, pyaar hai pooja Pyaar hai saajan Pyaar hai karuna, pyaar tapasya Pyaar hai arpan Pyaar hai vaada, pyaar vachan hai Pyaar hai bandhan

Verse 2

--CHORUS-- Kaanha ki bansi gaaye, Radha ki paayal baaje Jhoome re pyaar mein jhoome Vrindaavan saara

Verse 3

--FEMALE-- Sundar ek bhaavna hai, mann ki aaraadhna hai Paawan hai pyaar jaise ganga ki dhaara Bin tulsi ke aangan kaisa Bin phoolon ke gulshan kaisa Bin barkha ke saawan kaisa Bin khushboo ke chandan kaisa Bina pyaar dil soona soona Bina pyaar ke jeevan kaisa

Verse 4

--MALE-- Ho, ho, ho ho ho ho Pyaar meet hai, pyaar geet hai Pyaar taal hai, pyaar hai sargam Pyaar kasak hai, pyaar mahek hai Pyaar phool hai, pyaar hai shabnam Pyaar sukun hai, pyaar junoon hai Pyaar tadap hai, pyaar nasha hai Pyaar haya hai, pyaar dua hai Pyaar bandagi, pyaar khuda hai Pyaar zindagi hai O ho ho pyaar zindagi hai