Manzilen Apni Jagah Hain
Verse 1
hmmmmmmm.. manzilon pe aake luTate hain dilon ke kaarvaaN kashtiyaaN saahil pe aksar, Doobati hain pyaar ki
Verse 2
(manzilen apni jagah hain raaste apni jagah) - 2 jab qadam hi saath na den, to musaafir kyaa kare (yuN to hai hamdard bhi aur hamsafar bhi hai meraa) - 2 baDhke koi haath na de, dil bhalaa phir kyaa kare manzilen apni jagah hain raaste apni jagah
Verse 3
Doobne vaale ko tinke kaa sahaaraa hi bahut dil bahal jaaye fakat, itnaa ishaaraa hi bahut itne par bhi aasmaaN vaalaa giraa de bijliyaaN koi batlaa de zaraa ye Doobtaa phir kyaa kare manzilen apni jagah hain raaste apni jagah
Verse 4
pyaar karnaa jurm hai to, jurm hamse ho gayaa qaabil-e-maafii huaa karate nahin aise gunaah sangdil hai ye jahaaN aur sangdil meraa sanam kyaa karen josh-e-junooN aur hauslaa phir kyaa kare manzilen apni...