Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Mari Katari Mar Jana

Script

Verse 1

Hame.N Kyaa Pataa Thaa Ki Dil Kii Kalii Ko Masal De.Nge Vo Hame.N Kyaa Pataa Thaa Ki Raahat Ko Gam Me.N Badal De.Nge Vo Muhabbat Ke Vaade Aur Tuutii Taaqat Me.N Kisii Aur Ke Ho Ke Chale De.Nge Vo

Verse 2

Maarii Kataarii Mar Jaanaa Ki Akhiyaa.N Kisii Se Milaanaa Na Khaa Ke Zahar Mar Jaane Ki Man Me.N Kisii Ko Basaanaa Na

Verse 3

Haay Duniyaa Kii Koii Bhii Chiiz Ab Bhaatii Nahii.N Chain Ab Aataa Nahii.N Hai Nii.Nd Ab Aatii Nahii.N Ji Ko Aanaa Thaa Na Aaye Jaane Vaale Jaa Chuke Haay! Dil Ko Jaanaa Thaa Gayaa Par Jaan Kyo.N Jaatii Nahii.N Piichhe Pa.De Hai Pachhatanaa Tuu Apanaa Kisii Ko Banaanaa Na

Verse 4

Maarii Kataari Mar Jaanaa ...