Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Kash Ek Din Aisa Bhi Aaye

Script

Verse 1

kaash ek din aisa bhi aaye, waqt ka pal pal tham jaaye saamne bas tum hi raho aur umarr gujar jaae o o o o o o...............

Verse 2

kaash ek din aisa bhi aaye, waqt ka pal pal tham jaaye pyaar ruk na paaye chaahe saansein theher jaaye o o o o o o...............

Verse 3

tujhe dekhkar tujhe sochkar maine jo pal jiya tha use dil ke hi kisi kone mein, bas kaid kar liya tha kuchh aur lamhe tumse mile toh, duniya sawar jaaye o o o o o o...............

Verse 4

mere dil ko tum churaake sanam nazarein nahi churaana kisi baat par kisi mod par, mujhse na rooth jaana aisa na ho ke dil mera tute aur bikhar jaaye o o o o o o............... kaash ek din aisa bhi aaye, waqt ka pal pal tham jaaye pyaar ruk na paaye chaahe saansein theher jaaye o o o o o o...............