Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Chamka-Chamka Subah Ka Tara

Script

Verse 1

Gayaa A.Ndheraa Huaa Ujaaraa, Chamakaa Chamakaa Subah Kaa Taaraa Tuute Dil Kaa Ba.Ndhaa Shaaraa, Chamakaa Chamakaa Subah Kaa Taaraa

Verse 2

Saa.Ns Khushii Kii Tan Me.N Aa_Ii Aramaano.N Ne Lii A.Nga.Daa_Ii Jaag Uthii.N Ummiide.N Saarii Jaag Uthii Taqadiir Hamaarii Kahii.N Kisii Ne Duur Pukaaraa Chamakaa Chamakaa Subah Kaa Taaraa ...

Verse 3

Murajhaayii Kalii Kyaa Phir Se Khilegii Khoyii Huii Kyaa Raahat Milegii Kahii.N Ye Taaraa Tuut Na Jaaye Subah Kaa Saathii Chhuut Na Jaaye Aa.Nkho.N Me.N Rah Jaaye Nazaaraa Chamakaa Chamakaa Subah Kaa Taaraa ...

Verse 4

Gayii Udaasii Raunak Chhaayii Roshanii Ab Jiivan Me.N Aayii Ha.Nsii Khushii Kaa Chhe.Do Taraanaa Naach Uthe Man Jhuume Zamaanaa Samaa Suhaanaa Pyaaraa Pyaaraa Chamakaa Chamakaa Subah Kaa Taaraa ...