Kis liye maine pyar kiya
Verse 1
Kis liye maine pyar kiya Dil ko yoon hi beqarar kiya Shaam savere teri raah dekhi Raat din intezaar kiya
Verse 2
Aankhon mein maine kajal daala Maathe pe bindiya lagayi Aise mein tu aa jaaye to kya ho raam duhai Chupke mann mein armaanon ne li aisi angdai Koi dekhe to kya samjhe ho jaaye rusvaai Maine kyun singaar kiya
Verse 3
Aaj woh din hai jiske liye main tadapi banke radha Aaj mere mann ki bechaini badh gayi aur zyaada Pyar mein dhoka na kha jaaye yeh mann seedha saada Aisa na ho jhootha nikle aaj milan ka vaada Maine kyun aeitbaar kiya Dil ko yoon hi beqarar kiya Shaam savere teri raah dekhi Raat din intezaar kiya Kis liye main pyar kiya
Verse 4
Posted By : Bharati Singh