Rehna To Hain
Verse 1
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin -2 Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan Rehna toh hai tere hi sang, rehna magar mumkin nahin
Verse 2
Kyun ho gaye, ye faasle, kaise mitti nazdeekiyaan Pichhe mere, chalti rahi, kyun bewafa parchhaaiyaan Baahon ke ghere, sapne ghanere, hai ab paraaye woh sparsh tere Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin
Verse 3
Tune mujhe, dhokha diya, kehna sakoon, aisa kiya Bikhre sabhi, sapne mere, kis bhool ka, badla liya Tootegi mere, ashqon ki ladiyaan Tadpegi tu bhi, gin-gin ke ghadiyaan Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin -2 Mumkin nahin -3