O Yaaron Maaf Karna - Aa Ab Laut Chalen Lyrics


O Yaaron Maaf Karna

O yaaro maaf karna kutch kahne aaya hun
Kutch apne bareme samjhane aaya hun
O yaaro maaf karna kutch kahne aaya hun...2
Kutch apne bareme samjhane aya hun
Mai hun pardesi naujawan, dil me rahne aaya hun...2
O yaaro maaf karna kutch kahne aaya hun...2
Oy..Oy...Oy... Mere ehle vatan, o tera kya kahna
Nasrino saman, o tera kya kahna
Khushboo e chaman tera kya kehna
Meri gango jaman tera kya kehna
Oy...Oy...Oy...Ae desh se aanewale bata
Kaisa hai mera mehboob vatan...2
Kya ab bhi vahan khaliyanome, sab neem ke niche sote hai
Kya ab bhi vahan bachpanwale, woh khel suhane hote hai
Kya ab bhi vahan rajarani ke, kisse dadi sunati hai
Kya ab bhi vahan per bachhon ko, maa lori ga ke sunati hai
Kya ab bhi vahan baisakhi me, sab jhumke bhangda pande hai
Oy...Oy...Oy... Kya ab bhi vahan baratome, sab tashe dhol bajande hai
Oy...Oy...Oy... Kya ab bhi vahan ke dhabome milti hai makke di roti
Oy...Oy...Oy... Kya ab bhi vahan ke melome udti hai hasinoki choti
Tere desh ki mitti ki vohi khushboo laya hun, vohi khushbo laya hun
O yaaro maaf karna kutch kahne aaya hun
Kutch apne bare me samjhane aaya hun....
Ae mere vatan kurbaan
Tu meri aan... vai vai... Tu meri shan...vai vai
Tu meri jaan...vai vai... Tujhpe kurbaan... vai vai
Mera armaan...vai vai... Meri pahchan...vai vai
Mera imaan... vai vai... Tujhpe kurbaan...vai vai
Kya ab bhi muhobbat ki lahre uthti hai chanab ke pani se
Kya ab bhi suroor chalkta hai madmast hawa ki rawani se
Kya ab bhi vahan pe galib mir ki gazle gaayi jaati hai
Kya ab bhi vahan pe mastani mahfilen sajai jaati hai
Kya ab bhi vahan ki iadome aati hai sevayiyoki khushboo
Kya ab bhi vahan tyoharome lagte hai woh mele harsoo
Kya ab bhi vahan per shadi me dulhe ka sehra gaate hai
Kya ab bhi vahan khushhaali me ghar ghar laddo bhijwate hai
Tu laga le gale mujhko mai bhi tera hi sayaan hun...2
O yaaro maaf karna kutch kahne aaya hu
Kutch apne bare me samjhane aaya hun
Mai hun pardesi naujawan, dil me rahne aaya hun...4
Aa...aa...aa...aa...
Aa...aa...aa...aa...

4 Comments