Starring | John Abraham, Genelia |
---|---|
Music | Harris Jayaraj |
Director | Nishikanth Kamath |
Producer | Vipul Amrutlal Shah |
Year | 2011 |
Yeh roop aur yeh rangat
Yeh chaal aur yeh nazaakat
Kaisi hai yeh kayaamat
Ab koi kya kahe
Yeh roop aur yeh rangat
Yeh chaal aur yeh nazaakat
Kaisi hai yeh kayaamat
Ab koi kya kahe
Main chali toh jhoom uthi zindagi
Main chali toh jaag uthi roshni
Mausam naya, nayi nayi hawaein hain
Main hoon nayi, nayi meri adaayein hain
Main chali toh jhoom uthi zindagi
Main chali toh jaag uthi roshni
Mausam naya, nayi nayi hawaein hain
Main hoon nayi, nayi meri adaayein hain
Teri zulf ki ghataayein, teri shok si nighaahein
Kaisi hai yeh balaayein, ab koi kya kahe
Teri zulf ki ghataayein, teri shok si nighaahein
Kaisi hai yeh balaayein, ab koi kya kahe
Duniya badli hai mera andaaza kyun badle
Sab kuch toh hai badal gaya
Goonja hai jo geet naya toh saaz na kyun badle
Mera bhi sur hai naya
Nayi nayi si hai meri raah
Naya naya mera safar hai
Nayi nayi si hai meri chaahein
Nayi nayi meri nazar hai
Haan nayi nayi meri nazar hai
Tere nain hai niraale, madira ke jaise pyaale
Sambhle na dil sambhaale, ab koi kya kahe
Tere nain hai niraale, madira ke jaise pyaale
Sambhle na dil sambhaale, ab koi kya kahe
Dil chaahe ke leke sitaare haar bana loon main
Chaand ho mere bin diya
Saagar ki saari lehrein aaja mein saja loon main
Jaane kyun chaahe yeh jiya
Koi samjhe toh samjhe deewane
Mujhko hai parwah kya
Main jaane toh bas itna hi jaanu
Dil dhoondhta hai raah kya
Oo dil dhoondhta hai raah kya
Tu hai kaise rang laayi, kaisi tarang laayi
Kaisi umang laayi, ab koi kya kahe
Tu hai kaise rang laayi, kaisi tarang laayi
Kaisi umang laayi, ab koi kya kahe
Main chali toh jhoom uthi zindagi
Main chali toh jaag uthi roshni
Mausam naya, nayi nayi hawaein hain
Main hoon nayi, nayi meri adaayein hain
Oo ..