Kaisi Haseen Raat
Verse 1
kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath
Verse 2
o dene waale toone to koi kamee na kee ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
Verse 3
chhaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-e-bekhudi (2) aate hai zindagi mein yeh aalam kabhi kabhi har ghum ko bhool jaao khushi ki baaraat hai ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath
Verse 4
aayi hai woh bahaar ke naghme ubal pade aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade hothon pe hai duwaayeh magar dil pe haath hai ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
Verse 5
masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi (2)
Verse 6
meri khushi bhi aap ke daaman mein aa gayi bhavra kali se door nahin saath saath hai ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
Verse 7
kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath