Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Duniya Kare Sawal

Script

Verse 1

Duniyaa karE sawaal tho hum kyaa jawaab dE Tum kaun ho khayaal tho hum kyaa jawaab dE (Duniyaa)

Verse 2

PoochE koi ke dil ko kahaan chOd aaye hai Kis kis se apna rishta-e-jaan thodaaye hai

Verse 3

Mushkil hai arz-e-haal... Mushkil hai arz-e-haal tho hum kyaa jawaab dE Tum kaun ho khayaal tho hum kyaa jawaab dE (Duniyaa)

Verse 4

PoochE koi ke dard-e-wafaa kaun dE gayaa Raaton ko jaagnE ki sazaa kaun dE gayaa KehanE ko hai malaal Kehane ko hai malaal tho hum kyaa jawaab dE Tum kaun ho khayaal tho hum kyaa jawaab dE (Duniyaa)