Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Ganesh Utpati

Script

Verse 1

kar adabhut sankalp yeh mann mein maa gauri jut gayi jatan mein - 2 om om (om namah shivaay - 4)

Verse 2

paarvati ne apane tann se mamta bhari sukomal mal se kan kan apana ansh jutaaya kar kamalon mein use uthaaya divya kala se rachaa maat ne uthala salona jisaki aabha se roshan tha vishwa ka kona kona chamtkaar se mamtamayi ne phooki usamein jaan mand mand muskaate aaye shri ganesh bhagwaan