Purab Se
Verse 1
purab se jab suraj nikle sindoori ghan chhaye pavan ke pag mein nupur baaje mayur mann mera gaaye purab se jab suraj nikle sindoori ghan chhaye pavan ke pag mein nupur baaje mayur mann mera gaaye mann mera gaaye om namas shivaay...
Verse 2
pushp ki mala thaal sajaaun gangajal bhar kalash main laaun nau jyoti ke deep jalaaun charnon mein neet sheesh jhukaaun bhaav vibhor hoke bhakti mein rom rom rang jaaye ho mann mera gaaye om namas shivaay...
Verse 3
abhyankar shankar avinashi main tere darshan ki abhilaashi janmon ki pooja ki pyaasi mujh pe karna kripa jara si - 2 tere siva mere praanon ko aur koi na bhaaye ho o o o mann mera gaaye om namas shivaay...