Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Kab Tujhe

Script

Verse 1

kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala kab tujhe khud pe humne odh liya, ajanabi humko kuchh pata na chala tere liye hai mere jism-o-jaan, tere liye hai mere shaam-subah kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuch pata na chala kab tujhe khud pe humne odh liya, ajanabi humko kuch pata na chala

Verse 2

(teri chaahat ne meri zindagi sajaayi hai dil ke viraane mein chhupke se bahaar aayi hai) - 2 kab hasin zindagi ne mod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala

Verse 3

(jisaki khwaaish thi hume tune abb woh shab di hai jitni tanhaayi thi jeene mein sab woh bhar di hai) - 2 kab hume humse tune tod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala

Verse 4

(abb to har lamha tere saath hum bitaayenge khud bhi sawarenge, tere ghar ko sajaayenge) - 2 kab yahi dil hi dil mein soch liya, ajnabi humko kuchh pata na chala kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala tere liye hai mere jism-o-jaan, tere liye hai mere shaam-subah