Bolo Na Tum Zaraa
Verse 1
Bolo na tum zara, pyaar yeh hota hai kya Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala Chherta hai yeh aasmaan, mausam lage aaj manchala Yeh pyaar hai kya khoobsurat bala Bolo na tum zara, pyaar yeh hota hai kya Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala
Verse 2
Pyaar ki roshni jismon mein ghul gayi Pyaar ki aas mein rooh yeh dhul gayi Rog chalne laga, dil ka yeh kaafila
Verse 3
Sarsaraati huwi hawa youn baadiyon mein hai beh rahi Pyaar ki hi kahaaniyan kaanon mein hole se keh rahi
Verse 4
Yeh pyaar hai kya khoobsurat bala
Verse 5
Bolo na tum zara, pyaar yeh hota hai kya
Verse 6
Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala
Verse 7
Pyaar yeh subh ki makhmali dhoop hai Pyaar yeh shaam ko saawala roop hai Yeh jadoo hai kya, jo hai humpe huwa
Verse 8
Pyaar paaya to zindagi ek pal mein jaise badal gayi Rang ujhle hai raagini naye sur mein jaise hai dhal gayi
Verse 9
Yeh pyaar hai kya khoobsurat bala Bolo na tum zara, (bolo na tum zara) Pyaar yeh hota hai kya, (pyaar yeh hota hai kya) Yeh haseen raaz hai, jaane kaun bhala