Haan Judai Se Darta Hai
Verse 1
Haan judaai se darta hai dil Maut se to mein darti nahin Aur darti to sun le sanam Pyar tujhse main karti nahin... Ek armaan is paar hai Ek armaan us paar hai Humne khud hi banai thi jo Raaste mein woh deewar hai Ek khushi dil ne kya mang li Har khushi ko nazar lag gayee Zindagi jab kareeb aai to Zindagi ko nazar lag gayee Ab tamanna ho dil main koi Main tamanna bhi karti nahin... Man se man ka hai bandhan agar Tan mile na mile kuch nahin Man ka chandan mehekta rahe Man hi sab kuch hai tan kuch nahin Aasmanon mein so jayega Dastanon mein kho jayega Tan kisi roz ban kar dhuan In hawaon ka ho jayega Pyar rehta hai zinda sada Aatma hai yeh marti nahin...