Hindi · Movie Lyrics
Haan Judai Se Darta Hai Dil
Script
Verse 1
Haan judaai se darta hai dil Maut se to main darta nahin Aur darta to sun le sanam Pyar tujh se main karta nahin... Main akela na reh paoonga Door tak raat hi raat hai Zindagi ek alag cheez hai Zinda rehena alag baat hai Umre kaise guzar payegee Ek pal jab guzarta nahin... Gham ka mausam guzarta nahin Zakham yaadon ka bharta nahin Raat parbat hai kat ti nahin Din hai dariya utar - ta nahin Meri neendon mein a jayegi Dhoop suraj ka khanjar liye Todne mera dil aayega Chand haathon mein paththar liye Dil darata hai mujh ko magar Main yakin dil pe karta nahin...