Kitni Baatein
Verse 1
Hari: kitni baatein yaaad aati hain tasveerein si ban jaati hain main kaise inhein bhoolooN, dil ko kyaa samjhaaooN Sadhana: kitni baatein kahane ki hain hoThoN par jo sahmi si hain ek roz inhein sun lo, kyuN aise gumsum ho Hari: kyuN poori ho na paayee daastaaN Sadhana: kaise aayee hain aisi dooriyaaN.. Hari: donoN ke diloN mein chhupaa hai jo ek anjaanaa sa Gham kyaa ho paayegaa vo kam, koi kyaa kahe Sadhana: donoN ne kabhi zindagi ki ik moD pe thi jo paayee hai kaisi vo tanhaai, koi kyaa kahe Hari: kitnaa veeraan hai ye samaa Sadhana: saaNsoN mein jaise ghultaa hai dhuaaN kaise aayee hain aisi dooriyaaN Hari: kitni baatein yaaad aati hain tasveerein si ban jaati hain main kaise inhein bhoolooN Sadhana: tumse aaj yuN milke dil ko yaad aaye lamhe kal ke ye aaNsoo kyuN hai chhalke, ab kyaa kahein.... Hari: tumne hamko dekhaa jo aise to ek ummeed hai jaagi meri tumse pyaar paane ki, ab kyaa karein Sadhana: aa gaye ham kahaaN se kahaaN Hari: dekhe muD ke ye dil kaa kaarvaaN, kaise aayee hain aisi dooriyaaN Sadhana: kitni baatein kahne ki hain hoThoN par jo sahmi si hain ek roz inhein sun lo, kyuN aise gumsum ho Hari: kitni baatein yaaad aati hain tasveerein si ban jaati hain main kaise inhein bhoolooN, dil ko kyaa samjhaaooN