Hindi · Movie Lyrics
Aaja Re Pardesi
Script
Verse 1
Aajaa re .a.a.a paradesii Mai.n to kab se kha.dii is paar Ye a.nkhiyaa.n, thak ga_ii pa.nth nihaar Aajaa re, paradesii
Verse 2
Tum sa.ng janam janam ke phere Bhuul gaye kyuu.n saajan mere Ta.dapat huu.n mai.n saa.njh savere , Aajaa re, mai.n to kab se kha.dii is paar ...
Verse 3
Mai.n nadiyaa phir bhii mai.n pyaasii Bhed ye gaharaa baat zaraa sii Bin tere har raat udaasii Aajaa re, mai.n to kab se kha.dii is paar ...
Verse 4
Mai.n diye kii aisii baatii Jal na sakii jo bujh bhii na paatii Aa mil mere jiivan saathii o ... Aajaa re, mai.n to kab se kha.dii is paar ...