Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Jaane Yeh Kya

Script

Verse 1

jaane ye kyaa ho rahaa hai, ye dil kahaaN kho rahaa hai sochaa na thaa KhvaaboN mein jo, sachmuch mein vo ho rahaa hai.. ( suljhe hain armaaN, jaagaa hai toofaaN saaraa jahaaN so rahaa hai ) -2 jaane ye kyaa ho rahaa hai, ye dil kahaaN kho rahaa hai

Verse 2

sachchaa hai jhooThaa hai, ye rishtaa kaisaa hai Dartaa bhi hai dil magar, Dar Dar ke kahtaa hai baaNdho na dil ko, roko na Khud ko hone do jo ho rahaa hai ab zindagi meri tum ho, ab bandagi meri tum ho dhaDkan meri dil ki tum ho, ab har Khushi meri tum ho..

Verse 3

saaNsoN ki manzil tum, jeene kaa haasil tum tum ek ehsaas ho, pal pal mein shaamil tum lahroN mein jiski sapne hi sapne aisi nadi meri tum ho ab zindagi meri tum ho, ab bandagi meri tum ho dhaDkan meri dil ki tum ho, ab har Khushi meri tum ho.. paa ke jise main bhoolaa hooN ko, vo bekhudi meri tum ho -2 jaane ye kyaa ho rahaa hai, ye dil kahaaN kho rahaa hai sochaa na thaa KhvaaboN mein jo, sachmuch mein vo ho rahaa hai..