Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Akhiyan Milaon Kabhie Akhiyan

Script

Verse 1

--FEMALE-- Ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon Kya tune kiya jaadu Haan, ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon Kya tune kiya jaadu Ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon Kya tune kiya jaadu Kabhi ghabraaoon kabhi gale lag jaaoon Mera khud pe nahin qaabu Bina paayal ke hi baje ghunghroo - 2

Verse 2

--MALE-- (Ankhiyaan milaaye kabhi ankhiyaan churaaye Kya maine kiya jaadu) - 2 Kabhi ghabraaye kabhi gale lag jaaye Tera khud pe nahin qaabu Bina paayal ke hi baje ghunghroo - 2

Verse 3

--FEMALE-- Aise to deewaane mujhe pyaar na kar Aati hai sharam deedaar na kar

Verse 4

--MALE-- Chain churaake takraar na kar Tujhko kasam inkaar na kar

Verse 5

--FEMALE-- Tere armaanon mein sanwar gayi main Tune mujhe dekha to nikhar gayi main

Verse 6

--MALE-- Dekha jab tujhko thaher gaya main Aise hi adaaon pe to mar gaya main

Verse 7

--FEMALE-- Ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon Kya tune kiya jaadu Ae, ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon Kya tune kiya jaadu Kabhi ghabraaoon kabhi gale lag jaaoon Mera khud pe nahin qaabu Bina paayal ke hi baje ghunghroo - 2

Verse 8

--MALE-- Meri jaane jaana kya cheez hai tu Mujhko to jaan se aziz hai tu

Verse 9

--FEMALE-- Itni na kar taareef meri Jaanoon main to jaanoon chaahat kya teri

Verse 10

--MALE-- Teri ulfat ka nasha chhaa gaya Kuch bhi ho jaane jaan maza aa gaya

Verse 11

--FEMALE-- Dheere dheere duniya se door hui Ishq mein tere main to choor hui

Verse 12

--MALE-- Ankhiyaan milaaye kabhi ankhiyaan churaaye Kya maine kiya jaadu Hey, ankhiyaan milaaye kabhi ankhiyaan churaaye Kya maine kiya jaadu Kabhi ghabraaye kabhi gale lag jaaye Tera khud pe nahin qaabu Bina paayal ke hi baje ghunghroo - 2

Verse 13

--FEMALE-- (Ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon Kya tune kiya jaadu) - 2 Kabhi ghabraaoon kabhi gale lag jaaoon Mera khud pe nahin qaabu Bina paayal ke hi baje ghunghroo - 2

Verse 14

--MALE-- Bina paayal ke hi baje ghunghroo

Verse 15

--FEMALE-- Bina paayal ke hi baje ghunghro