Mere Dil Jigar Se Guzree Hai
Verse 1
--MALE-- (Mere dil jigar se guzri hai Ek ladki idhar se guzri hai) - 2 Gore gore gaalon waali, kaale kaale baalon waali - 2 Baheki baheki chaalon waali, masti solaah saalon waali Deewaana karke gayi O rabba ho ho ho, o rabba ho ho ho - 2
Verse 2
--FEMALE-- (Mere dil jigar se guzra hai Ek ladka idhar se guzra hai) - 2 Seedha saadha bhola bhaala, mujhe tadpaane waala - 2 Raaton ko jagaane waala, khwaabon ko sajaane waala Deewaani karke gaya O rabba ho ho ho, o rabba ho ho ho - 2
Verse 3
--MALE-- Haai haai haai teri aankhen bin kaajal kajraari
Verse 4
--FEMALE-- Haai haai haai teri baatein lagti hai mujhko pyaari
Verse 5
--MALE-- Hey, mera chain loota hai teri in adaaon ne
Verse 6
--FEMALE-- Tere khwaab rehte hain meri in nigaahon mein
Verse 7
--MALE-- Abhi abhi aayi ho, ruko zara jaao na
Verse 8
--FEMALE-- Koi dekh lega yun, mujhe tum sataao na, na na na na
Verse 9
--MALE-- Bachke nazar se guzri hai Ek ladki idhar se guzri hai Gore gore gaalon waali, kaale kaale baalon waali - 2 Baheki baheki chaalon waali, masti solaah saalon waali Deewaana karke gayi O rabba ho ho ho, o rabba ho ho ho - 2
Verse 10
--FEMALE-- Kal kal milne waala vaada dekho tum bhool na jaana
Verse 11
--MALE-- Main jo bhool bhi jaaoon, tum mujhe yaad dilaana
Verse 12
--FEMALE-- Ho, ghadi do ghadi ki bhi dooriyaan sataati hai
Verse 13
--MALE-- Ho, tujhe raat din meri dhadkanein bulaati hai
Verse 14
--FEMALE-- Badi pyaas jaagi hai, badi beqaraari hai
Verse 15
--MALE-- Bas teri tamanna hai, teri khumaari hai, haan
Verse 16
--FEMALE-- Dekho kidhar se guzra hai Ek ladka idhar se guzra hai Seedha saadha bhola bhaala, mujhe tadpaane waala - 2 Raaton ko jagaane waala, khwaabon ko sajaane waala Deewaani karke gaya O rabba ho ho ho, o rabba ho ho ho - 2
Verse 17
--MALE-- Mere dil jigar se guzri hai Ek ladki idhar se guzri hai Gore gore gaalon waali, kaale kaale baalon waali - 2 Baheki baheki chaalon waali, masti solaah saalon waali Deewaana karke gayi O rabba ho ho ho, o rabba ho ho ho - 2