Ae Aasmaan
Verse 1
Aae aasmaan teri zameeen par Kab talak chalega yeh kab talak Aae aasmaan teri zameeen par - 2 Kab talak chalega yeh kab talak - 2
Verse 2
tukde tukde karke dharti maa ke dil ke humne dal diya hai khud ko hi mushkil main yeh siyasat humari yeh siyasat tumhari kutch khuda ke hai bande ram ke kutch pujari ek hai ek hum asmaan ke liye naam humne zameen par juda kar liye Aae aasmaan teri zameeen par Kab talak chalega yeh kab talak - 2
Verse 3
kis liye kiske liye hoti yeh jung hai rab ne to sikhaya tha ke rehna sang hai har taraf nafratein hai har taraf mushkilein hai raste hai yeh kaise kaunsi manzilein hai zindagi maut se mil rahi hai gale haq watan ke sipahi ada kar chale Aae aasmaan teri zameeen par Kab talak chalega yeh kab talak - 2