Kyon Hawa
Verse 1
Yash: Ek din jab savere savere, surmayi se andher ki chaadar hata ke Ek parbat ke takiye se, sooraj ne sar jo uthaaya, toh dekha Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai Aur yaadon ki daaliyon par Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi huwi aadhi jaagi huwi Aankhein malte huwe dekhti hai, laher dar laher Mauj dar mauj, behti huwi zindagi
Verse 2
Jaise har ek pal nayi hai, aur phir bhi wahi, haan, wahi zindagi Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai, koyi hasrat bhi hai Paas aana bhi hai, door jaana bhi hai, aur ye ehsaas hai Waqt jharne sa behta huwa, jaa raha hai, ye kehta huwa Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai Aur yaadon ki daaliyon par Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain
Verse 3
Lata: Aa