Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Main Yahaan Hoon

Script

Verse 1

Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan..

Verse 2

(Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan) -2 Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Verse 3

Tum chhupa na sakogi main woh raaz hoon Tum bhoola na sakogi woh andaaz hoon Goonjta hoon jo dil mein toh hairaan ho kyun Main tumhaare hi dil ki toh awaaz hoon Sun sako, toh suno, dhadkanon ki zabaan Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Verse 4

Main hi main ab tumhaare khayaalon mein hoon Main jawaabon mein hoon, main sawaalon mein hoon Main tumhaare har ek khwaab mein hoon basa Main tumhaari nazar ke ujaalon mein hoon Dekhti, ho mujhe, dekhti ho jahaan Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan Kaisi sarhadein, kaisi majbooriyaan Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Verse 5

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan