Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Ek Masoom Sa Chehra

Script

Verse 1

u: itnaa mujhe pyaaraa lage -2, dil vahin jaa ke Thahraa ek maasoom saa chehraa, ( ho o o ek maasoom saa chehraa ) -2 uspe rahe har pal meri -2, in aaNkhoN kaa pahraa ek maasoom saa chehraa, ( ho o o ek maasoom saa chehraa ) -2 a: itnaa mujhe pyaaraa lage -2, dil vahin jaa ke Thahraa ek maasoom saa chehraa, ( o o o ek maasoom saa chehraa ) -2

Verse 2

a: dekh rahaa hai chori chori, baaNdh rahaa hai pyaar ki Dori u: sabse hasin ye, sabse suhaanaa, isne banaayaa mujhko deevaanaa phooloN se bhi naazuk hai ye -2, saagar se bhi gahraa ek maasoom saa chehraa, ( o o o ek maasoom saa chehraa ) -2

Verse 3

u: meri bechaini ko baDaaye, armaanoN mein pyaas jagaaye a: sooni meri maaNg sajaa ke, le jaa mujhko dulhan banaa ke aa jaa ik din mere ghar mein -2, sar pe baaNdh ke sehraa ek maasoom saa chehraa, ( o o o ek maasoom saa chehraa ) -2 u: itnaa mujhe pyaaraa lage a: itnaa mujhe pyaaraa lage u: dil vahin jaa ke Thahraa ek maasoom saa chehraa, ( ho o o ek maasoom saa chehraa ) -3