Skip to content
Hindi · Movie Lyrics

Ek Masoom Sa Chehra

Script

Verse 1

itnaa mujhe pyaaraa lage -2, dil vahin jaa ke Thahraa ek maasoom saa chehraa, ( ho o o ek maasoom saa chehraa ) -2 uspe rahe har pal meri -2, in aaNkhoN kaa pahraa ek maasoom saa chehraa, ( ho o o ek maasoom saa chehraa ) -2 itnaa mujhe pyaaraa lage -2, dil vahin jaa ke Thahraa ek maasoom saa chehraa, ( ho o o ek maasoom saa chehraa ) -2

Verse 2

dekh rahaa hooN chori chori, baaNdh rahaa hooN pyaar ki Dori sabse hasin ye, sabse suhaanaa, isne banaayaa mujhko deevaanaa phooloN se bhi naazuk hai ye -2, saagar se bhi gahraa ek maasoom saa chehraa, ( o o o ek maasoom saa chehraa ) -2

Verse 3

meri bechaini ko baDaaye, armaanoN mein pyaas jagaaye ho.. in palkoN mein isko chhupaa ke, qaid karooNgaa dil mein basaa ke jaaooNgaa main iske ghar mein -2, baaNdh ke sar pe sahraa ek maasoom saa chehraa, ( o o o ek maasoom saa chehraa ) -2 itnaa mujhe pyaaraa lage -2, dil vahin jaa ke Thahraa ek maasoom saa chehraa, ( ho o o ek maasoom saa chehraa ) -3