Socha Hai - Rock On Lyrics


Socha Hai

Aasma Hai Neela Kyun, Paani Geela Geela Kyun Gol Kyun Hai Zameen
Silk Mein Hai Narmi Kyun Aag Mein Hai Garmi Kyun,
Do Aur Do Paanch Kyun Nahi
Pedd Ho Gaye Kum Kyun, Teen Hain Ye Mausam Kyun Chaand Do Kyun Nahi
Duniya Mein Hai Jung Kyun Behta Laal Rang Kyun,
Sarhaden Hain Kyun Har Kahin
Socha Hai... Yeh Tumne Kya Kabhi
Socha Hai... Ki Hain Yeh Kya Sabhi
Socha Hai... Socha Nahi To Socho Abhi...

Behti Kyun Hai Har Nadi, Hoti Kya Hai Roshni Barf Girti Hai Kyun
Dost Kyun Hain Roothte Taare Kyun Hain Toot The,
Baadlon Mein Bijli Hai Kyun
Socha Hai... Yeh Tumne Kya Kabhi
Socha Hai... Ki Hain Yeh Kya Sabhi
Socha Nahi To Socho Abhi...

Sannata Sunai Nahin Deta, Aur Hawayen Dikhayi Nahin Deti
Socha Hai Kya Kabhi, Hota Hai Yeh Kyun............ ||Aasma Hai

Socha Hai... Yeh Tumne Kya Kabhi
Socha Hai... Ki Hain Yeh Kya Sabhi
Socha Hai... Socha Nahi To Socho Abhi...

2 Comments