Aitbaar Nahi Karna
Verse 1
chorus: aa aa.. a: (aitbaar nahin karnaa, intazaar nahin karnaa ) -2 had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa -2 ikraar nahin karnaa, jaaN nisaar nahin karnaa (had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa) -2
Verse 2
a: manzilen bichhaD gayeen, raaste bhi kho gaye aaye phir na lauT ke, jo deevaane ho gaye chaahtoN ki bebasi, dooriyoN ke Gham mile beqaraariyaaN mileen, chain yaar kam mile beqaraar nahin karnaa, intazaar nahin karnaa (had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa) -2 chorus: aa aa aa..
Verse 3
a: koi to vafaa kare koi to jafaa kare kisko hai pataa yahaaN kaun kyaa Khataa kare aisaa na ho ishq mein koi dil ko toD de beech raah mein sanam teraa saath chhoD de izhaar nahin karnaa, intazaar nahin karnaa (had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa) -2 aitbaar nahin karnaa intazaar nahin karnaa had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa chorus: aa aa aa aa aa..